koi milne ko na surat jaani-pahchani baDhi
koī milne ko na sūrat jānī-pahchānī baḌhī
shahr meñ raunaq huī to aur vīrānī baḌhī
aql kī mantiq se baḌh kar hai junūñ nukta-navāz
haiñ ayaañ asrār-e-hastī ab ki hairānī baḌhī
jis qadar baḌhtī ga.ī hai umr kam hotī ga.ī
jis qadar ghaTtī ga.ī hai aur nādānī baḌhī
qābil-e-zikr ik yahī qissa hai āzādī ke baa'd
aur pābandī huī hai aur nigarānī baḌhī
kyā huā kyoñ sang-e-dar apnī jagah se haT gayā
us pe sajde ke liye jab merī peshānī baḌhī
mere baa'd ab garmī-e-mahfil ke haiñ sab mudda.ī
bujh gayā sūraj to phir tāroñ kī tābānī baḌhī
ik muamma ban ga.ī 'shaukat' hamārī zindagī
be-sabab taskīñ milī bejā pareshānī baḌhī
koi milne ko na surat jaani-pahchani baDhi
shahr mein raunaq hui to aur virani baDhi
aql ki mantiq se baDh kar hai junun nukta-nawaz
hain ayan asrar-e-hasti ab ki hairani baDhi
jis qadar baDhti gai hai umr kam hoti gai
jis qadar ghaTti gai hai aur nadani baDhi
qabil-e-zikr ek yahi qissa hai aazadi ke ba'd
aur pabandi hui hai aur nigarani baDhi
kya hua kyon sang-e-dar apni jagah se haT gaya
us pe sajde ke liye jab meri peshani baDhi
mere ba'd ab garmi-e-mahfil ke hain sab muddai
bujh gaya suraj to phir taron ki tabani baDhi
ek muamma ban gai 'shaukat' hamari zindagi
be-sabab taskin mili beja pareshani baDhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.