koi muflis ho ki dhanwan chala jata hai
koī muflis ho ki dhanvān chalā jaatā hai
maut jab aatī hai insān chalā jaatā hai
nāḳhudā dekhte rahte haiñ khaḌe sāhil par
kashtiyāñ luuT le tūfān chalā jaatā hai
us musāfir ke liye kuchh nahīñ manzil kī ḳhushī
jis kā raste meñ hī sāmān chalā jaatā hai
kaisā tājir hai munāfa nahīñ hotā tujh ko
tujh ko har saude meñ nuqsān chalā jaatā hai
yaad aate haiñ ka.ī chāñd se raushan chehre
jab bhī maazī kī taraf dhyān chalā jaatā hai
vo tamāshe sar-e-bāzār nazar aate haiñ
dekhne vāloñ kā īmān chalā jaatā hai
kar ke ehsān jatāyā na kareñ aap 'kamāl'
is tarah dekhiye ehsān chalā jaatā hai
koi muflis ho ki dhanwan chala jata hai
maut jab aati hai insan chala jata hai
naKHuda dekhte rahte hain khaDe sahil par
kashtiyan luT le tufan chala jata hai
us musafir ke liye kuchh nahin manzil ki KHushi
jis ka raste mein hi saman chala jata hai
kaisa tajir hai munafa nahin hota tujh ko
tujh ko har saude mein nuqsan chala jata hai
yaad aate hain kai chand se raushan chehre
jab bhi mazi ki taraf dhyan chala jata hai
wo tamashe sar-e-bazar nazar aate hain
dekhne walon ka iman chala jata hai
kar ke ehsan jataya na karen aap 'kamal'
is tarah dekhiye ehsan chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.