koi mujhse juda hua hai abhi
koī mujh se judā huā hai abhī
zindagī ek sānehā hai abhī
nahīñ mauqa ye pursish-e-ġham kā
dekhiye dil dukhā huā hai abhī
kal guzar jaa.e dil pe kyā ma.alūm
ishq saada sā vāqi.a hai abhī
baat pahuñchī hai ik nazar meñ kahāñ
ham to samjhe the ibtidā hai abhī
kitne nazdīk aa ga.e haiñ vo
kis qadar un se fāsla hai abhī
saarī bāteñ ye ḳhvāb kī sī haiñ
zindagī duur kī sadā hai abhī
daar par khīñchte haiñ 'aḳhtar' ko
jurm ye hai ki jī rahā hai abhī
koi mujh se juda hua hai abhi
zindagi ek saneha hai abhi
nahin mauqa ye pursish-e-gham ka
dekhiye dil dukha hua hai abhi
kal guzar jae dil pe kya malum
ishq sada sa waqia hai abhi
baat pahunchi hai ek nazar mein kahan
hum to samjhe the ibtida hai abhi
kitne nazdik aa gae hain wo
kis qadar un se fasla hai abhi
sari baaten ye KHwab ki si hain
zindagi dur ki sada hai abhi
dar par khinchte hain 'aKHtar' ko
jurm ye hai ki ji raha hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.