Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi mujhse KHafa hai is liye KHud se KHafa hun

Navneet Sharma

koi mujhse KHafa hai is liye KHud se KHafa hun

Navneet Sharma

MORE BYNavneet Sharma

    koī mujh se ḳhafā hai is liye ḳhud se ḳhafā huuñ

    ubalte khaulte mausam ke neze par rakhā huuñ

    mire andar mirā kuchh bhī nahīñ bas hai baaqī

    tire andar batā pyāre maiñ ab kitnā bachā huuñ

    mirī sāñsoñ ḳhāmoshī meñ kaisā shor kyuuñ maiñ

    ka.ī sadiyāñ guzar jaane pe bhī ḳhud se ḳhafā huuñ

    kulhāḌī mujhe ab Dar nahīñ aadat hai us

    ga.e vo din maiñ kahtā thā koī jañgal ghanā huuñ

    milūñ ḳhud se maiñ kyuuñ fursat nahīñ mujh ko tumhīñ se

    maiñ ḳhud meñ ho ke bhī bas tum meñ rahne razā huuñ

    sharāfat ko mirī, kamzoriyāñ maanā sabhī ne

    maiñ ḳhvāb-e-amn buntā thā lahū meñ san gayā huuñ

    mujhe mujh tak pahuñchne meñ lageñge janm kitne

    zamīñ se TuuT kar chhiTkā jazīra ho gayā huuñ

    yahī qismat hai un ke ḳhvāb se rahnā nadārat

    maiñ jaagā huuñ, maiñ jin niiñd meñ takiya banā huuñ

    bulāte haiñ mujhe jazbāt, ehsāsāt mere

    mujhe tapnā hai maiñ 'navnīt' hone sazā huuñ

    koi mujh se KHafa hai is liye KHud se KHafa hun

    ubalte khaulte mausam ke neze par rakha hun

    mere andar mera kuchh bhi nahin bas tu hai baqi

    tere andar bata pyare main ab kitna bacha hun

    meri sanson ki KHamoshi mein kaisa shor kyun main

    kai sadiyan guzar jaane pe bhi KHud se KHafa hun

    kulhaDi ka mujhe ab Dar nahin aadat hai us ki

    gae wo din main kahta tha koi jangal ghana hun

    milun KHud se main kyun fursat nahin mujh ko tumhin se

    main KHud mein ho ke bhi bas tum mein rahne ki raza hun

    sharafat ko miri, kamzoriyan mana sabhi ne

    main KHwab-e-amn bunta tha lahu mein san gaya hun

    mujhe mujh tak pahunchne mein lagenge janm kitne

    zamin se TuT kar chhiTka jazira ho gaya hun

    yahi qismat hai un ke KHwab se rahna nadarat

    main jaga hun, main jin ki nind mein takiya bana hun

    bulate hain mujhe jazbaat, ehsasat mere

    mujhe tapna hai main 'nawnit' hone ki saza hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now