Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi munh chum lega is nahin par

Riyaz Khairabadi

koi munh chum lega is nahin par

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    koī muñh chuum legā is nahīñ par

    shikan rah jā.egī yūñhī jabīñ par

    girī thī aaj to bijlī hamīñ par

    ye kahiye jhuk paḌe vo ham-nashīñ par

    lahu bekas maqtal zamīñ par

    na dāman par na un āstīñ par

    balā.eñ ban ke vo aa.iiñ hamīñ par

    du'ā.eñ jo ga.iiñ 'arsh-e-barīñ par

    ye qismat daaġh jis meñ dard jis meñ

    vo dil ho luuT dast-e-nāznīñ par

    rulā kar mujh ko poñchhe ashk-e-dushman

    rahā dhabbā ye un āstīñ par

    uḌaa.e phirtī hai un ko javānī

    qadam paḌtā nahīñ un zamīñ par

    are o charḳh dene ke liye daaġh

    bahut haiñ chāñd ke TukḌe zamīñ par

    nazākat kostī hai mujh ko kyā kyā

    tabī'at aa.ī achchhī nāznīñ par

    tamannā-e-asar uu chashm-e-hasrat

    uThā rakh ab nigāh-e-vāpsīñ par

    dharī rah jā.egī yūñhī shab-e-vasl

    nahīñ lab par shikan un jabīñ par

    ḳhudā jaane dikhā.egī ye kyā rang

    du'ā.eñ jam' haiñ 'arsh-e-barīñ par

    nigāh-e-shauq garm itnī ki bijlī

    na aañch aa.e kahīñ us nāznīñ par

    mujhe hai ḳhuun dā'vā mujhe hai

    unhīñ par dāvar-e-mahshar unhīñ par

    'riyāz' achchhe musalmāñ aap bhī haiñ

    ki dil aayā bhī to kāfir hasīñ par

    koi munh chum lega is nahin par

    shikan rah jaegi yunhi jabin par

    giri thi aaj to bijli hamin par

    ye kahiye jhuk paDe wo ham-nashin par

    lahu bekas ka maqtal ki zamin par

    na daman par na un ki aastin par

    balaen ban ke wo aain hamin par

    du'aen jo gain 'arsh-e-barin par

    ye qismat dagh jis mein dard jis mein

    wo dil ho luT dast-e-naznin par

    rula kar mujh ko ponchhe ashk-e-dushman

    raha dhabba ye un ki aastin par

    uDae phirti hai un ko jawani

    qadam paDta nahin un ka zamin par

    are o charKH dene ke liye dagh

    bahut hain chand ke TukDe zamin par

    nazakat kosti hai mujh ko kya kya

    tabi'at aai achchhi naznin par

    tamanna-e-asar u chashm-e-hasrat

    uTha rakh ab nigah-e-wapsin par

    dhari rah jaegi yunhi shab-e-wasl

    nahin lab par shikan un ki jabin par

    KHuda jaane dikhaegi ye kya rang

    du'aen jam' hain 'arsh-e-barin par

    nigah-e-shauq garm itni ki bijli

    na aanch aae kahin us naznin par

    mujhe hai KHun ka da'wa mujhe hai

    unhin par dawar-e-mahshar unhin par

    'riyaz' achchhe musalman aap bhi hain

    ki dil aaya bhi to kafir hasin par

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    koi munh chum lega is nahin par Nomaan Shauque

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now