koi mushkil nahin insan hona
koī mushkil nahīñ insāñ honā
aadmī siikh le nādāñ honā
kuchh bhī hotā nahīñ itnā āsāñ
jitnā āsāñ hai pareshāñ honā
achchhe achchhoñ ko banā de shaitāñ
koī ummīd na imkāñ honā
dil kī mānūñgā na ab dilbar kī
ho gayā jitnā thā nuqsāñ honā
fikr-e-fardā se huā hai sab kuchh
varna kuchh bhī na thā āsāñ honā
ishq-bāzī hī sabab hai 'parvāz'
yuuñ tirā be-sar-o-sāmāñ honā
koi mushkil nahin insan hona
aadmi sikh le nadan hona
kuchh bhi hota nahin itna aasan
jitna aasan hai pareshan hona
achchhe achchhon ko bana de shaitan
koi ummid na imkan hona
dil ki manunga na ab dilbar ki
ho gaya jitna tha nuqsan hona
fikr-e-farda se hua hai sab kuchh
warna kuchh bhi na tha aasan hona
ishq-bazi hi sabab hai 'parwaz'
yun tera be-sar-o-saman hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.