koi na dekha ki wapas aaya KHuda ke ghar ek bar ja kar
koi na dekha ki wapas aaya KHuda ke ghar ek bar ja kar
Dattatriya Kaifi
MORE BYDattatriya Kaifi
koī na dekhā ki vāpas aayā ḳhudā ke ghar ek baar jā kar
vo dair-o-ka.aba meñ hai muqayyad ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar
samajh na tū us ko be-navā.ī ye do-jahāñ kī hai bādshā.ī
ki daulat-e-ishq haath aa.ī matā-e-duniyā-o-dīñ luTā kar
jahāñ kī kā.enāt kyā hai umīd-e-uqbā meñ kyā dharā hai
barī haiñ jo us se vo na dekheñ idhar zarā aañkh bhī uThā kar
karam tirā tama.a par hai mabnī hai terī ḳhairāt is nafas par
ki suud meñ ashrafī milegī jo degā ik daam haath uThā kar
ye dil-lagī kyā hai bād-o-bārāñ hañsī hai ye yā sitam-zarīfī
guloñ ko miTTī meñ kyuuñ milāyā khilā khilā kar hañsā hañsā kar
na rah sake pesh-e-mehr-e-tābāñ gul aur shabnam meñ rabt-e-rasmī
maiñ kaT gayā kal jahāñ se 'kaifī' dil ek dildār se lagā kar
koi na dekha ki wapas aaya KHuda ke ghar ek bar ja kar
wo dair-o-kaba mein hai muqayyad KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar
samajh na tu us ko be-nawai ye do-jahan ki hai baadshai
ki daulat-e-ishq hath aai mata-e-duniya-o-din luTa kar
jahan ki kaenat kya hai umid-e-uqba mein kya dhara hai
bari hain jo us se wo na dekhen idhar zara aankh bhi uTha kar
karam tera tama par hai mabni hai teri KHairaat is nafas par
ki sud mein ashrafi milegi jo dega ek dam hath uTha kar
ye dil-lagi kya hai baad-o-baran hansi hai ye ya sitam-zarifi
gulon ko miTTi mein kyun milaya khila khila kar hansa hansa kar
na rah sake pesh-e-mehr-e-taban gul aur shabnam mein rabt-e-rasmi
main kaT gaya kal jahan se 'kaifi' dil ek dildar se laga kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.