koi na Dube main yun sahaare bana raha hun
koī na Duube maiñ yuuñ sahāre banā rahā huuñ
jahāñ bhañvar hai vahīñ kināre banā rahā huuñ
ye ġhazleñ sun ke tū apne uupar ġhurūr mat kar
maiñ vaah vaah hī ko isti.āre banā rahā huuñ
ye maiñ hī kahtā thā phuul mat toḌ par ye gajre
maiñ us ke ġhusse ke Dar ke maare banā rahā huuñ
sivā hamāre koī na samjhe hamārī bāteñ
yuuñ guftugū ke na.e ishāre banā rahā huuñ
jo tum ne tasvīr bhejī merī adhūrī sī thī
so us ke chāroñ taraf sharāre banā rahā huuñ
mujhe baḌhānā hai chāñd tāroñ ke martabe ko
so us ke māthe pe chāñd taare banā rahā huuñ
koi na Dube main yun sahaare bana raha hun
jahan bhanwar hai wahin kinare bana raha hun
ye ghazlen sun ke tu apne upar ghurur mat kar
main wah wah hi ko istiare bana raha hun
ye main hi kahta tha phul mat toD par ye gajre
main us ke ghusse ke Dar ke mare bana raha hun
siwa hamare koi na samjhe hamari baaten
yun guftugu ke nae ishaare bana raha hun
jo tum ne taswir bheji meri adhuri si thi
so us ke chaaron taraf sharare bana raha hun
mujhe baDhana hai chand taron ke martabe ko
so us ke mathe pe chand tare bana raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.