koi nam hai na koi nishan mujhe kya hua
koī naam hai na koī nishāñ mujhe kyā huā
maiñ bikhar gayā huuñ kahāñ kahāñ mujhe kyā huā
kise DhūñDtā huuñ maiñ apne qurb-o-javār meñ
ai firāq-e-sohbat-e-dostāñ mujhe kyā huā
ye kahāñ paḌā huuñ zamīñ ke gard-o-ġhubār meñ
vo kahāñ gayā mirā āsmāñ mujhe kyā huā
koī raat thī koī chāñd thā ka.ī log the
vo 'ajab samāñ thā magar vahāñ mujhe kyā huā
mire rū-ba-rū mujhe maiñ dikhā.ī nahīñ diyā
mire aa.ine mire rāz-dāñ mujhe kyā huā
koi nam hai na koi nishan mujhe kya hua
main bikhar gaya hun kahan kahan mujhe kya hua
kise DhunDta hun main apne qurb-o-jawar mein
ai firaq-e-sohbat-e-dostan mujhe kya hua
ye kahan paDa hun zamin ke gard-o-ghubar mein
wo kahan gaya mera aasman mujhe kya hua
koi raat thi koi chand tha kai log the
wo 'ajab saman tha magar wahan mujhe kya hua
mere ru-ba-ru mujhe main dikhai nahin diya
mere aaine mere raaz-dan mujhe kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.