koi nao nahin tayyar karna
koī naao nahīñ tayyār karnā
mujhe aatā hai dariyā paar karnā
mohabbat kī nishānī huuñ tumhārī
mujhe tum dekh kar mismār karnā
maiñ ik zinda haqīqat ban chukī huuñ
nahīñ mumkin mirā inkār karnā
kahānī ḳhatm ho jaane se pahle
kahānī ik na.ī tayyār karnā
dil-e-kambaḳht ko aadat paḌī hai
hamesha ḳhvāhish-e-be-kār karnā
kisī ko guftugū karnā sikhānā
kisī ko sūrat-e-dīvār karnā
kabhī sochā nahīñ maiñ ne safar meñ
kisī kā rāsta dushvār karnā
mohabbat 'rāshida' 'māhīn' kyā hai
jise aatā na ho iz.hār karnā
koi nao nahin tayyar karna
mujhe aata hai dariya par karna
mohabbat ki nishani hun tumhaari
mujhe tum dekh kar mismar karna
main ek zinda haqiqat ban chuki hun
nahin mumkin mera inkar karna
kahani KHatm ho jaane se pahle
kahani ek nai tayyar karna
dil-e-kambaKHt ko aadat paDi hai
hamesha KHwahish-e-be-kar karna
kisi ko guftugu karna sikhana
kisi ko surat-e-diwar karna
kabhi socha nahin main ne safar mein
kisi ka rasta dushwar karna
mohabbat 'rashida' 'mahin' kya hai
jise aata na ho izhaar karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.