koi nishani-e-ahd-e-visal de jae
koī nishānī-e-ahd-e-visāl de jaa.e
vo merī umr mire māh-o-sāl de jaa.e
use kaho ki kisī roz aa ke phir mujh ko
hasīn ḳhvāb achhūte ḳhayāl de jaa.e
palaT ke aa.e kabhī us kī yaad kā mausam
gul-e-murād ko rañg-e-jamāl de jaa.e
ḳhudā kare ki achānak vo sāmne aa kar
mire laboñ ko na.e kuchh savāl de jaa.e
tamām umr kī ḳhushiyāñ sameT kar merī
tamām umr ke apne malāl de jaa.e
koī to ho jo mire chāra-gar se jā ke kahe
davā kabhī to mire hasb-e-hāl de jaa.e
agar nahīñ hai mudāvā zavāl kā 'shāhid'
vo hausla to ba-vaqt-e-zavāl de jaa.e
koi nishani-e-ahd-e-visal de jae
wo meri umr mere mah-o-sal de jae
use kaho ki kisi roz aa ke phir mujh ko
hasin KHwab achhute KHayal de jae
palaT ke aae kabhi us ki yaad ka mausam
gul-e-murad ko rang-e-jamal de jae
KHuda kare ki achanak wo samne aa kar
mere labon ko nae kuchh sawal de jae
tamam umr ki KHushiyan sameT kar meri
tamam umr ke apne malal de jae
koi to ho jo mere chaara-gar se ja ke kahe
dawa kabhi to mere hasb-e-haal de jae
agar nahin hai mudawa zawal ka 'shahid'
wo hausla to ba-waqt-e-zawal de jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.