koi paigham-e-mohabbat lab-e-ejaz to de
koī paiġhām-e-mohabbat lab-e-ejāz to de
maut kī aañkh bhī khul jā.egī āvāz to de
maqsad-e-ishq ham-āhañgī-e-juzv-o-kul hai
dard hī dard sahī dil bū-e-dam-sāz to de
chashm-e-maḳhmūr ke unvān-e-nazar kuchh to khuleñ
dil-e-ranjūr dhaḌakne kā kuchh andāz to de
ik zarā ho nasha-e-husn meñ andāz-e-ḳhumār
ik jhalak 'ishq ke anjām kī āġhāz to de
jo chhupā.e na chhupe aur batā.e na bane
dil-e-āshiq ko in āñkhoñ se koī raaz to de
muntazir itnī kabhī thī na fazā-e-āfāq
chheḌne hī ko huuñ pur-dard ġhazal saaz to de
ham asīrān-e-qafas aag lagā sakte haiñ
fursat-e-naġhma kabhī hasrat-e-parvāz to de
'ishq ik baar mashiyyat ko badal saktā hai
indiya apnā magar kuchh nigah-e-nāz to de
qurb o dīdār to mā'lūm kisī kā phir bhī
kuchh pata sā falak-e-tafraqa-pardāz to de
manzileñ gard kī mānind uḌī jaatī haiñ
ablaq-e-dahr kuchh andāz-e-tag-o-tāz to de
kaan se ham to 'firāq' aañkh kā lete haiñ kaam
aaj chhup kar koī āvāz par āvāz to de
koi paigham-e-mohabbat lab-e-ejaz to de
maut ki aankh bhi khul jaegi aawaz to de
maqsad-e-ishq ham-ahangi-e-juzw-o-kul hai
dard hi dard sahi dil bu-e-dam-saz to de
chashm-e-maKHmur ke unwan-e-nazar kuchh to khulen
dil-e-ranjur dhaDakne ka kuchh andaz to de
ek zara ho nasha-e-husn mein andaz-e-KHumar
ek jhalak 'ishq ke anjam ki aaghaz to de
jo chhupae na chhupe aur batae na bane
dil-e-ashiq ko in aankhon se koi raaz to de
muntazir itni kabhi thi na faza-e-afaq
chheDne hi ko hun pur-dard ghazal saz to de
hum asiran-e-qafas aag laga sakte hain
fursat-e-naghma kabhi hasrat-e-parwaz to de
'ishq ek bar mashiyyat ko badal sakta hai
indiya apna magar kuchh nigah-e-naz to de
qurb o didar to ma'lum kisi ka phir bhi
kuchh pata sa falak-e-tafraqa-pardaz to de
manzilen gard ki manind uDi jati hain
ablaq-e-dahr kuchh andaz-e-tag-o-taz to de
kan se hum to 'firaq' aankh ka lete hain kaam
aaj chhup kar koi aawaz par aawaz to de
- Book : Gul-e-Naghma (Pg. 105)
- Author : Firaq Gorakhpuri
- Publication : Maktaba Farogh-e-urdu Matia Mahal Jama Masjid Delhi (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.