koi patthar hi kisi samt se aaya hota
koī patthar hī kisī samt se aayā hotā
peḌ phaldār maiñ ik rāhguzar kā hotā
apnī āvāz ke jaadū pe bharosā karte
mor jo naqsh thā dīvār pe nāchā hotā
ek hī pal ko Thaharnā thā muñDeroñ pe tirī
shaam kī dhuup huuñ maiñ kaash ye jaanā hotā
ek hī naqsh se sau aks numāyāñ hote
kuchh salīqe hī se alfāz ko bartā hotā
lazzateñ qurb kī ai 'rāz' hamesha rahtīñ
shāḳh-e-sandal se koī saañp hī lipTā hotā
koi patthar hi kisi samt se aaya hota
peD phaldar main ek rahguzar ka hota
apni aawaz ke jadu pe bharosa karte
mor jo naqsh tha diwar pe nacha hota
ek hi pal ko Thaharna tha munDeron pe teri
sham ki dhup hun main kash ye jaana hota
ek hi naqsh se sau aks numayan hote
kuchh saliqe hi se alfaz ko barta hota
lazzaten qurb ki ai 'raaz' hamesha rahtin
shaKH-e-sandal se koi sanp hi lipTa hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.