koi puchhe to is diwane se
koī pūchhe to is divāne se
ishq baḌhtā hai āzmāne se
us kī yādeñ haiñ dard kā darmāñ
dard baḌhtā hai bhuul jaane se
koī sūrat nikāl milne kī
ḳhvāb hī meñ kisī bahāne se
terī yādoñ se ghar chamaktā hai
raushnī hai ye dil jalāne se
dāman-e-yār par ki āñkhoñ meñ
kaam ashkoñ ko hai Thikāne se
haiñ tumhāre na.e na.e sapne
aur mire ḳhvāb kuchh purāne se
ab haTāo bhī jhuuT kā pahra
sach nikālo zarā ḳhazāne se
koī do-chār din kī baat nahīñ
chāhtā huuñ tujhe zamāne se
'shāh' kī justujū meñ dīvāne
ba.az aa.e na zaḳhm khāne se
koi puchhe to is diwane se
ishq baDhta hai aazmane se
us ki yaaden hain dard ka darman
dard baDhta hai bhul jaane se
koi surat nikal milne ki
KHwab hi mein kisi bahane se
teri yaadon se ghar chamakta hai
raushni hai ye dil jalane se
daman-e-yar par ki aankhon mein
kaam ashkon ko hai Thikane se
hain tumhaare nae nae sapne
aur mere KHwab kuchh purane se
ab haTao bhi jhuT ka pahra
sach nikalo zara KHazane se
koi do-chaar din ki baat nahin
chahta hun tujhe zamane se
'shah' ki justuju mein diwane
baz aae na zaKHm khane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.