koi rafiq baham hi na ho to kya kije
koī rafīq baham hī na ho to kyā kiije
kabhī kabhī tirā ġham hī na ho to kyā kiije
hamārī raah judā hai ki aisī rāhoñ par
rivāj-e-naqsh-e-qadam hī na ho to kyā kiije
hameñ bhī bāda-gusārī se aar thī lekin
sharāb zarf se kam hī na ho to kyā kiije
tabāh hone kā armāñ sahī mohabbat meñ
kisī ko ḳhū-e-sitam hī na ho to kyā kiije
hamāre sher meñ roTī kā zikr bhī hogā
kisī kisī ke shikam hī na ho to kyā kiije
koi rafiq baham hi na ho to kya kije
kabhi kabhi tera gham hi na ho to kya kije
hamari rah juda hai ki aisi rahon par
riwaj-e-naqsh-e-qadam hi na ho to kya kije
hamein bhi baada-gusari se aar thi lekin
sharab zarf se kam hi na ho to kya kije
tabah hone ka arman sahi mohabbat mein
kisi ko KHu-e-sitam hi na ho to kya kije
hamare sher mein roTi ka zikr bhi hoga
kisi kisi ke shikam hi na ho to kya kije
- Book : mauj mirii sadaf sadaf (Pg. 100)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.