koi rahzan na musafir na shajar ki surat
koī rahzan na musāfir na shajar kī sūrat
dekh is ujḌī huī rāhguzar kī sūrat
jaane kab ḳhāna-badoshī ke ye din guzreñge
muddateñ ho ga.iiñ dekhe hue ghar kī sūrat
pahle dukh thā ki sar-e-rāhguzar baiThe haiñ
ab koī rañj nahīñ ranj-e-safar kī sūrat
apne hī aks se fursat nahīñ miltī varna
aa.ine meñ hai kahīñ ā.ina-gar kī sūrat
itne pāyāb nahīñ hai ki har ik ko mil jaa.eñ
ham to rahte haiñ samundar meñ guhar kī sūrat
aaj āñkhoñ meñ namī hai to ġhanīmat jaano
qaht-e-girya meñ kahāñ dīda-e-tar kī sūrat
beach raste meñ hameñ chhoḌ ke jaane vaale
saath hoñ leñge tire gard-e-safar kī sūrat
chashm-e-ibrat se 'farāsat' meñ use dekhtā huuñ
kal ye vīrāna thā ābād nagar kī sūrat
koi rahzan na musafir na shajar ki surat
dekh is ujDi hui rahguzar ki surat
jaane kab KHana-badoshi ke ye din guzrenge
muddaten ho gain dekhe hue ghar ki surat
pahle dukh tha ki sar-e-rahguzar baiThe hain
ab koi ranj nahin ranj-e-safar ki surat
apne hi aks se fursat nahin milti warna
aaine mein hai kahin aaina-gar ki surat
itne payab nahin hai ki har ek ko mil jaen
hum to rahte hain samundar mein guhar ki surat
aaj aankhon mein nami hai to ghanimat jaano
qaht-e-girya mein kahan dida-e-tar ki surat
beach raste mein hamein chhoD ke jaane wale
sath hon lenge tere gard-e-safar ki surat
chashm-e-ibrat se 'farasat' mein use dekhta hun
kal ye virana tha aabaad nagar ki surat
- Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 209)
- Author : Firasat Rizvi
- Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan Lahore (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.