koi rakhta hi nahin phir bhi raha karta hai
koī rakhtā hī nahīñ phir bhī rahā kartā hai
ai mire dil tū bhalā hai so bhalā kartā hai
tum ne to aap hī piñjre ko khulā chhoḌ diyā
koī aise bhī parindoñ ko rihā kartā hai
us kī har baat bhulā denā zarūrat hai mirī
phir bhī jo dil hai use yaad sivā kartā hai
ab vo pahle se manāzir bhī nazar aa.eñ kyā
vo kinhī aur nigāhoñ se takā kartā hai
kyā kabhī tum ne kisī Thag se mohabbat kī hai
ek 'tarkash' hai jo dillī meñ huā kartā hai
koi rakhta hi nahin phir bhi raha karta hai
ai mere dil tu bhala hai so bhala karta hai
tum ne to aap hi pinjre ko khula chhoD diya
koi aise bhi parindon ko riha karta hai
us ki har baat bhula dena zarurat hai meri
phir bhi jo dil hai use yaad siwa karta hai
ab wo pahle se manazir bhi nazar aaen kya
wo kinhi aur nigahon se taka karta hai
kya kabhi tum ne kisi Thag se mohabbat ki hai
ek 'tarkash' hai jo dilli mein hua karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.