koi riste hue zaKHmon ki dawa ban jae
koī riste hue zaḳhmoñ kī davā ban jaa.e
koī bīmār-e-mohabbat kā ḳhudā ban jaa.e
koī be-sūd umīdoñ kā sahārā hove
koī bahte hue ashkoñ kī ridā ban jaa.e
koī pahuñche mirī taskīn kā sāmāñ ban kar
koī taḌpī huī aahoñ kī sadā ban jaa.e
koī hamdard uThe mūnis-o-ġham-ḳhvār bane
mere haq meñ koī phir dast-e-duā ban jaa.e
koī ubhre mire hoñToñ pe siyāhī ban kar
āḳhrī hichkī bane vaj.h-e-qazā ban jaa.e
koī darmāñda javānī ko bhī pahnā.e kafan
ro.e chillā.e ki pur-shor fazā ban jaa.e
ham ko le jaa.e mazāroñ ke nagar koī 'rafīq'
koī be-dast janāze kā asā ban jaa.e
koi riste hue zaKHmon ki dawa ban jae
koi bimar-e-mohabbat ka KHuda ban jae
koi be-sud umidon ka sahaara howe
koi bahte hue ashkon ki rida ban jae
koi pahunche meri taskin ka saman ban kar
koi taDpi hui aahon ki sada ban jae
koi hamdard uThe munis-o-gham-KHwar bane
mere haq mein koi phir dast-e-dua ban jae
koi ubhre mere honTon pe siyahi ban kar
aaKHri hichki bane wajh-e-qaza ban jae
koi darmanda jawani ko bhi pahnae kafan
roe chillae ki pur-shor faza ban jae
hum ko le jae mazaron ke nagar koi 'rafiq'
koi be-dast janaze ka asa ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.