koi rukne ki tere shahr mein tadbir na thi
koī rukne kī tire shahr meñ tadbīr na thī
mere hāthoñ meñ tirī zulf bhī zanjīr na thī
dekh kar tum ko sarāboñ kā tamāshā sā rahā
ḳhvāb thā ye bhī kisī ḳhvāb kī ta.abīr na thī
so chukā thā kisī ma.asūm farishte kī tarah
us kī āñkhoñ meñ to qātil kī bhī tasvīr na thī
regzāroñ se lagāo rahā yuuñ hī varna
ret par mere liye koī bhī tahrīr na thī
itnī qurbat pe vo begāna rahā kyoñ mujh se
us ke dil meñ koī dīvār to ta.amīr na thī
sar qalam hote rahe naam pe chāhat ke magar
koī rāñjhā na thā bastī meñ koī hiir na thī
aaj fankār hai ik miTTī ke Dhele kī tarah
thī to pahle bhī par itnī kabhī tahqīr na thī
koi rukne ki tere shahr mein tadbir na thi
mere hathon mein teri zulf bhi zanjir na thi
dekh kar tum ko sarabon ka tamasha sa raha
KHwab tha ye bhi kisi KHwab ki tabir na thi
so chuka tha kisi masum farishte ki tarah
us ki aankhon mein to qatil ki bhi taswir na thi
regzaron se lagao raha yun hi warna
ret par mere liye koi bhi tahrir na thi
itni qurbat pe wo begana raha kyon mujh se
us ke dil mein koi diwar to tamir na thi
sar qalam hote rahe nam pe chahat ke magar
koi ranjha na tha basti mein koi hir na thi
aaj fankar hai ek miTTi ke Dhele ki tarah
thi to pahle bhi par itni kabhi tahqir na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.