koi ruswai hai na shohrat hai
koī rusvā.ī hai na shohrat hai
ye mohabbat hai yā karāmat hai
shauq merā nahīñ junūñ-añgez
so bayābāñ ko mujh se vahshat hai
rañg kyā kyā haiñ zer-e-band-e-qabā
dar-o-dīvār tak ko hairat hai
vo taġhāful-shi.ār kyā jaane
ishq to husn kī zarūrat hai
mere ḳhurshīd ḳhush-gumān na ho
muskurānā to us kī aadat hai
koi ruswai hai na shohrat hai
ye mohabbat hai ya karamat hai
shauq mera nahin junun-angez
so bayaban ko mujh se wahshat hai
rang kya kya hain zer-e-band-e-qaba
dar-o-diwar tak ko hairat hai
wo taghaful-shiar kya jaane
ishq to husn ki zarurat hai
mere KHurshid KHush-guman na ho
muskurana to us ki aadat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.