koi saghar dil ko bahlata nahin
koī sāġhar dil ko bahlātā nahīñ
be-ḳhudī meñ bhī qarār aatā nahīñ
maiñ koī patthar nahīñ insān huuñ
kaise kah duuñ ġham se ghabrātā nahīñ
kal to sab the kārvāñ ke saath saath
aaj koī raah dikhlātā nahīñ
zindagī ke aa.ine ko toḌ do
is meñ ab kuchh bhī nazar aatā nahīñ
koi saghar dil ko bahlata nahin
be-KHudi mein bhi qarar aata nahin
main koi patthar nahin insan hun
kaise kah dun gham se ghabraata nahin
kal to sab the karwan ke sath sath
aaj koi rah dikhlata nahin
zindagi ke aaine ko toD do
is mein ab kuchh bhi nazar aata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.