koi sazish racho zer-o-zabar ki baat mat socho
koi sazish racho zer-o-zabar ki baat mat socho
Hamid Iqbal Siddiqui
MORE BYHamid Iqbal Siddiqui
koī sāzish racho zer-o-zabar kī baat mat socho
riyā-kāroñ meñ tum apne hunar kī baat mat socho
ye hijrat thī muqaddar lāzmī thā chhūTnā sab kuchh
marāsim rābte ghar aur nagar kī baat mat socho
sabab koī bhī ho lekin lahū taqsīm honā thā
ye sarhad hai idhar tum ho udhar kī baat mat socho
yahī ik koTharī apne liye āñgan hai baiThak hai
agar is shahr meñ jiinā hai ghar kī baat mat socho
tumhāre saare mansūboñ kā nasloñ par ahāta hai
sadā aatī hai umr-e-muḳhtasar kī baat mat socho
mizājoñ par garāñ ho koī lekin rābta rakhnā
yahī tahzīb hai is se mafar kī baat mat socho
ye mumkin hai ḳhizāñ ke ba.ad bhī mausam na raas aa.e
to aisā bhī nahīñ barg-o-samar kī baat mat socho
koi sazish racho zer-o-zabar ki baat mat socho
riya-karon mein tum apne hunar ki baat mat socho
ye hijrat thi muqaddar lazmi tha chhuTna sab kuchh
marasim rabte ghar aur nagar ki baat mat socho
sabab koi bhi ho lekin lahu taqsim hona tha
ye sarhad hai idhar tum ho udhar ki baat mat socho
yahi ek koThari apne liye aangan hai baiThak hai
agar is shahr mein jina hai ghar ki baat mat socho
tumhaare sare mansubon ka naslon par ahata hai
sada aati hai umr-e-muKHtasar ki baat mat socho
mizajon par garan ho koi lekin rabta rakhna
yahi tahzib hai is se mafar ki baat mat socho
ye mumkin hai KHizan ke baad bhi mausam na ras aae
to aisa bhi nahin barg-o-samar ki baat mat socho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.