koi sachche KHwab dikhata hai par jaane kaun dikhata hai
koī sachche ḳhvāb dikhātā hai par jaane kaun dikhātā hai
mujhe saarī raat jagātā hai par jaane kaun jagātā hai
koī dariyā hai jis kī lahreñ mujhe khīñch rahī haiñ aur koī
mirī jānib haath baḌhātā hai par jaane kaun baḌhātā hai
kabhī jā-e-namāz kī bāñhoñ meñ kabhī hamd durūd kī chhāñv meñ
koī zār-o-zār rulātā hai par jaane kaun rulātā hai
vahī be-ḳhabarī vahī jīvan kā be-ant safar aur aise meñ
koī apnī yaad dilātā hai par jaane kaun dilātā hai
kahīñ is mālūm sī duniyā meñ koī nā-mālūm sī duniyā hai
koī us ke bhed batātā hai par jaane kaun batātā hai
mirī tanhā.ī meñ ek na.ī tanhā.ī hai jis ke rañgoñ meñ
koī apne rañg milātā hai par jaane kaun milātā hai
koī kahtā hai ye rasta hai aur tere liye hai ye rasta
koī is meñ ḳhaak uḌātā hai par jaane kaun uḌātā hai
koī kahtā hai ye duniyā hai aur tere liye hai ye duniyā
koī is se ḳhauf dilātā hai par jaane kaun dilātā hai
koī kahtā hai is miTTī meñ ka.ī ḳhvāb haiñ aur in ḳhvāboñ se
koī baiThā naqsh banātā hai par jaane kaun banātā hai
koī har shai ke siine meñ kahīñ maujūd hai zāhir hone ko
koī apnā aap chhupātā hai par jaane kaun chhupātā hai
koī dekhā an-dekhā har pal chup-chāp likhe jaatā hai magar
koī mujh meñ shor machātā hai par jaane kaun machātā hai
mujhe duniyā apnī chhab dikhlāne roz chalī aatī hai magar
koī donoñ biich aa jaatā hai par jaane kaun aa jaatā hai
koi sachche KHwab dikhata hai par jaane kaun dikhata hai
mujhe sari raat jagata hai par jaane kaun jagata hai
koi dariya hai jis ki lahren mujhe khinch rahi hain aur koi
meri jaanib hath baDhata hai par jaane kaun baDhata hai
kabhi ja-e-namaz ki banhon mein kabhi hamd durud ki chhanw mein
koi zar-o-zar rulata hai par jaane kaun rulata hai
wahi be-KHabari wahi jiwan ka be-ant safar aur aise mein
koi apni yaad dilata hai par jaane kaun dilata hai
kahin is malum si duniya mein koi na-malum si duniya hai
koi us ke bhed batata hai par jaane kaun batata hai
meri tanhai mein ek nai tanhai hai jis ke rangon mein
koi apne rang milata hai par jaane kaun milata hai
koi kahta hai ye rasta hai aur tere liye hai ye rasta
koi is mein KHak uData hai par jaane kaun uData hai
koi kahta hai ye duniya hai aur tere liye hai ye duniya
koi is se KHauf dilata hai par jaane kaun dilata hai
koi kahta hai is miTTi mein kai KHwab hain aur in KHwabon se
koi baiTha naqsh banata hai par jaane kaun banata hai
koi har shai ke sine mein kahin maujud hai zahir hone ko
koi apna aap chhupata hai par jaane kaun chhupata hai
koi dekha an-dekha har pal chup-chap likhe jata hai magar
koi mujh mein shor machata hai par jaane kaun machata hai
mujhe duniya apni chhab dikhlane roz chali aati hai magar
koi donon bich aa jata hai par jaane kaun aa jata hai
- Book : duniya aarzoo se kam hai (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.