koi sada bhi ham-ahang nahin hoti ab sazon se
koī sadā bhī ham-āhañg nahīñ hotī ab sāzoñ se
varna dīpak jal uThte haiñ dard bharī āvāzoñ se
dhartī par saaya hai merā aur na maiñ ākāsh pe huuñ
maiñ ne bas itnā hī paayā hai ūñchī parvāzoñ se
ik nā-bīnā shaḳhs ko us ke saa.e se kyā hāsil hai
phir mujh tīra-baḳht ko kyā miltā apne ham-rāzoñ se
rūheñ phir jismoñ kā bojh uThā.e safar par nikleñgī
dhuup gharoñ meñ aa pahuñchī hai dīvāroñ darvāzoñ se
koi sada bhi ham-ahang nahin hoti ab sazon se
warna dipak jal uThte hain dard bhari aawazon se
dharti par saya hai mera aur na main aakash pe hun
main ne bas itna hi paya hai unchi parwazon se
ek na-bina shaKHs ko us ke sae se kya hasil hai
phir mujh tira-baKHt ko kya milta apne ham-raazon se
ruhen phir jismon ka bojh uThae safar par niklengi
dhup gharon mein aa pahunchi hai diwaron darwazon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.