koi sarmaya kab raha mahfuz
koī sarmāya kab rahā mahfūz
ik faqīrī kā rāsta mahfūz
gosha-e-dil hai ālam-e-hairat
baḌā ma.amūr hai baḌā mahfūz
dasht phir kyoñ nahīñ rahe ābād
abr āzād hai havā mahfūz
kashmakash meñ hai tā.ir-e-firdaus
zamīñ ābād aur ḳhalā mahfūz
jo havā kī panāh meñ aa.e
vahī rah jā.egā diyā mahfūz
koi sarmaya kab raha mahfuz
ek faqiri ka rasta mahfuz
gosha-e-dil hai aalam-e-hairat
baDa mamur hai baDa mahfuz
dasht phir kyon nahin rahe aabaad
abr aazad hai hawa mahfuz
kashmakash mein hai tair-e-firdaus
zamin aabaad aur KHala mahfuz
jo hawa ki panah mein aae
wahi rah jaega diya mahfuz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.