koi shadab-o-hasin shahr ka manzar dekho
koī shādāb-o-hasīñ shahr kā manzar dekho
jhāñk kar rauzan-e-ehsās se bāhar dekho
merī āvāz mirā jism mirā chehra hai
ho jo mumkin to mujhe haath lagā kar dekho
umr bhar apnā ta.āqub kiyā ham ne dar-dar
aur us aks kā isrār thā paikar dekho
ek saa.e kī tarah saath hai bachchoñ kā hujūm
dil hai shīsha to har ik haath meñ patthar dekho
ek tasvīr lakīroñ meñ chhupī baiThī hai
jism kahtā hai use haath lagā kar dekho
ek ḳhushbū kī tarah ruuh se lipTe na raho
kabhī mujh ko bhī zarā duur hī rah kar dekho
shā.irī Thahrī hai is daur meñ la.anat 'parvāz'
biivī bachche kabhī ghar aur kabhī daftar dekho
koi shadab-o-hasin shahr ka manzar dekho
jhank kar rauzan-e-ehsas se bahar dekho
meri aawaz mera jism mera chehra hai
ho jo mumkin to mujhe hath laga kar dekho
umr bhar apna taaqub kiya hum ne dar-dar
aur us aks ka israr tha paikar dekho
ek sae ki tarah sath hai bachchon ka hujum
dil hai shisha to har ek hath mein patthar dekho
ek taswir lakiron mein chhupi baiThi hai
jism kahta hai use hath laga kar dekho
ek KHushbu ki tarah ruh se lipTe na raho
kabhi mujh ko bhi zara dur hi rah kar dekho
shairi Thahri hai is daur mein lanat 'parwaz'
biwi bachche kabhi ghar aur kabhi daftar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.