koi shai hai jo sansanati hai
koī shai hai jo sansanātī hai
ek dahshat sī phail jaatī hai
zindagī kaT rahī hai saa.e meñ
dhuup aatī hai lauT jaatī hai
jaise jangal pukārtā ho mujhe
rāt-bhar ik sadā sī aatī hai
guuñj uThtā hai gahrā sannāTā
niiñd jab dhaḌkanoñ ko aatī hai
kaisī yādoñ ke diip jal uTThe
duur tak raushnī nahātī hai
itnī ġhazloñ meñ koī achchhī ġhazal
ik zamāne ke baa'd aatī hai
koi shai hai jo sansanati hai
ek dahshat si phail jati hai
zindagi kaT rahi hai sae mein
dhup aati hai lauT jati hai
jaise jangal pukarta ho mujhe
raat-bhar ek sada si aati hai
gunj uThta hai gahra sannaTa
nind jab dhaDkanon ko aati hai
kaisi yaadon ke dip jal uTThe
dur tak raushni nahati hai
itni ghazlon mein koi achchhi ghazal
ek zamane ke ba'd aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.