Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi shai nahin yahan mustaqil ye ajab yahan ka nizam hai

Sharib Lakhnavi

koi shai nahin yahan mustaqil ye ajab yahan ka nizam hai

Sharib Lakhnavi

MORE BYSharib Lakhnavi

    Interesting Fact

    1946

    koī shai nahīñ yahāñ mustaqil ye ajab yahāñ nizām hai

    kabhī dhuup hai kabhī chhāñv hai kabhī sub.h hai kabhī shaam hai

    vo jafā kareñ to jafā kareñ maiñ vafā se baaz na ā.ūñgā

    unheñ apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai

    jo hamārī nazreñ na sakeñ to hamārī nazroñ hai ḳhatā

    tirā jalva pahle bhī aam thā tirā jalva aaj bhī aam hai

    ye miTā chukī mirī zindagī to karam se apne sañvār de

    vo mirī nigāh kaam thā ye tirī nigāh kaam hai

    vo haram ho ki ho but-kada ki vo sañg-e-dar ho habīb

    jahāñ terī yaad na aa sake vahāñ sajda karnā harām hai

    ye ḳhabar hai ziist kārvāñ rah-e-ishq meñ hai ravāñ-davāñ

    magar us koī ḳhabar nahīñ ki safar kahāñ pe tamām hai

    use zindagī laqab diyā ki jo ek ḳhvāb-e-fareb hai

    use maut kahtā hai be-ḳhabar ki jo zindagī payām hai

    nahīñ kāmyāb amal agar adam meñ ho ki vajūd meñ

    na yahī sukūñ maqām hai na vahī sukūñ maqām hai

    koi shai nahin yahan mustaqil ye ajab yahan ka nizam hai

    kabhi dhup hai kabhi chhanw hai kabhi subh hai kabhi sham hai

    wo jafa karen to jafa karen main wafa se baz na aaunga

    unhen apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai

    jo hamari nazren na pa saken to hamari nazron ki hai KHata

    tera jalwa pahle bhi aam tha tera jalwa aaj bhi aam hai

    ye miTa chuki meri zindagi to karam se apne sanwar de

    wo meri nigah ka kaam tha ye teri nigah ka kaam hai

    wo haram ho ya ki ho but-kada ki wo sang-e-dar ho habib ka

    jahan teri yaad na aa sake wahan sajda karna haram hai

    ye KHabar hai zist ka karwan rah-e-ishq mein hai rawan-dawan

    magar us ki koi KHabar nahin ki safar kahan pe tamam hai

    use zindagi ka laqab diya ki jo ek KHwab-e-fareb hai

    use maut kahta hai be-KHabar ki jo zindagi ka payam hai

    nahin kaamyab amal agar tu adam mein ho ki wajud mein

    na yahi sukun ka maqam hai na wahi sukun ka maqam hai

    Source :
    • Book : Firdaus-e-Nazar (Pg. 15)
    • Author : Sultan Haider Khan
    • Publication : Urdu Acadami U.P
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now