koi shikwa koi gila rakhiye
koī shikva koī gila rakhiye
kuchh na kuchh jaarī silsila rakhiye
mas.ale zindagī ke apnī jagah
fasl-e-gul kā bhī kuchh patā rakhiye
chand lamhe chhupā ke logoñ se
ḳhud ko ḳhud meñ bhī mubtalā rakhiye
sab ko apnā.iye magar ḳhud se
ḳhud kā thoḌā sā fāsla rakhiye
jism de dījiye zamāne ko
yaad se sirf dil milā rakhiye
koi shikwa koi gila rakhiye
kuchh na kuchh jari silsila rakhiye
masale zindagi ke apni jagah
fasl-e-gul ka bhi kuchh pata rakhiye
chand lamhe chhupa ke logon se
KHud ko KHud mein bhi mubtala rakhiye
sab ko apnaiye magar KHud se
KHud ka thoDa sa fasla rakhiye
jism de dijiye zamane ko
yaad se sirf dil mila rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.