koī shikva nahīñ ab zindagī se
tujhe chhoḌā hai maiñ ne haañ ḳhushī se
nayā ik 'ishq ham kaise kareñ ab
hai Dartā dil kisī kī be-ruḳhī se
hameñ hañste hue jo dekhte haiñ
kahāñ vo dekh paa.e haiñ sahī se
tirī yādoñ meñ huuñ maiñ qaid kab se
rihā kar de mujhe is zindagī se
mire hālāt mujh se kah rahe haiñ
mohabbat phir na karnā tū kisī se
koi shikwa nahin ab zindagi se
tujhe chhoDa hai main ne han KHushi se
naya ek 'ishq hum kaise karen ab
hai Darta dil kisi ki be-ruKHi se
hamein hanste hue jo dekhte hain
kahan wo dekh pae hain sahi se
teri yaadon mein hun main qaid kab se
riha kar de mujhe is zindagi se
mere haalat mujh se kah rahe hain
mohabbat phir na karna tu kisi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.