koi shikwa nahin hai rahbar se
koī shikva nahīñ hai rāhbar se
haTā huuñ ḳhud hī apnī rahguzar se
jise duniyā haqīqat kah rahī hai
vo sach phailā hai ik jhūTī ḳhabar se
nikālā hai bahut mushkil se maiñ ne
nayā rasta purānī rahguzar se
lagegī aur bhī vo ḳhūbsūrat
jo dekhe ḳhud ko vo merī nazar se
safar meñ kaT ga.ī phir umr saarī
yūñhī ik roz niklā thā maiñ ghar se
nazāre is liye kam dekhtā huuñ
ki tū ojhal na ho jaa.e nazar se
koī to baat shāḳhoñ ne kahī hai
parinde Dar rahe haiñ ab shajar se
koi shikwa nahin hai rahbar se
haTa hun KHud hi apni rahguzar se
jise duniya haqiqat kah rahi hai
wo sach phaila hai ek jhuTi KHabar se
nikala hai bahut mushkil se main ne
naya rasta purani rahguzar se
lagegi aur bhi wo KHubsurat
jo dekhe KHud ko wo meri nazar se
safar mein kaT gai phir umr sari
yunhi ek roz nikla tha main ghar se
nazare is liye kam dekhta hun
ki tu ojhal na ho jae nazar se
koi to baat shaKHon ne kahi hai
parinde Dar rahe hain ab shajar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.