koi sipahi nahin bach saka nishanon se
koī sipāhī nahīñ bach sakā nishānoñ se
galī meñ tiir baraste rahe makānoñ se
ye burdbārī achānak se thoḌī aa.ī hai
kalām karnā paḌā mujh ko bad-zabānoñ se
tumhāre haath salāmat raheñ to shahzāde
ye shaal yūñhī saraktī rahegī shānoñ se
hamārī raah meñ dīvār ban ga.e vo log
jinheñ sunā.ī nahīñ de rahā thā kānoñ se
tamāshe yūñhī nahīñ kāmyāb ho jaate
makīn khīñch ke laa.e ga.e makānoñ se
bahut se sher sunā.e haiñ gungunā ke magar
ye jañg jiitī nahīñ jā rahī tarānoñ se
koi sipahi nahin bach saka nishanon se
gali mein tir baraste rahe makanon se
ye burdbari achanak se thoDi aai hai
kalam karna paDa mujh ko bad-zabanon se
tumhaare hath salamat rahen to shahzade
ye shaal yunhi sarakti rahegi shanon se
hamari rah mein diwar ban gae wo log
jinhen sunai nahin de raha tha kanon se
tamashe yunhi nahin kaamyab ho jate
makin khinch ke lae gae makanon se
bahut se sher sunae hain gunguna ke magar
ye jang jiti nahin ja rahi taranon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.