koi surat kitab se nikle
koī sūrat kitāb se nikle
yaad sūkhe gulāb se nikle
merī āñkheñ hai muntazir ab bhī
kab vo chehra naqāb se nikle
kitne motī haiñ us ke āñchal meñ
kitnī kirneñ hijāb se nikle
ai shab-e-māh TūTtā hai badan
dard shāyad sharāb se nikle
chāñd utrā thā shab ko āñgan meñ
niiñd TuuTe to ḳhvāb se nikle
vo mirī pyaas ko bujhā degā
ek qatra jo aab se nikle
koi surat kitab se nikle
yaad sukhe gulab se nikle
meri aankhen hai muntazir ab bhi
kab wo chehra naqab se nikle
kitne moti hain us ke aanchal mein
kitni kirnen hijab se nikle
ai shab-e-mah TuTta hai badan
dard shayad sharab se nikle
chand utra tha shab ko aangan mein
nind TuTe to KHwab se nikle
wo meri pyas ko bujha dega
ek qatra jo aab se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.