Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi taqrib ho lachaariyan hain

Jaleel Saz

koi taqrib ho lachaariyan hain

Jaleel Saz

MORE BYJaleel Saz

    koī taqrīb ho lāchāriyāñ haiñ

    baḌe logoñ se rishte-dāriyāñ haiñ

    hamārī kaj-kulāhī par na jaao

    abhī ham meñ vahī ḳhuddāriyāñ haiñ

    muravvat āo-bhagTī vaz'-dārī

    ye pichhle 'ahd bīmāriyāñ haiñ

    ḳhushā jin ko mayassar aa.eñ nīñdeñ

    yahāñ to 'umr bhar bedāriyāñ haiñ

    nahīñ hai aadmī ke bas meñ kuchh bhī

    to phir kaahe ḳhud-muḳhtāriyāñ haiñ

    vazīr-o-mīr hoñ shaiḳh-o-vā.iz

    sabhī logoñ meñ zāhir-dāriyāñ haiñ

    nahīñ hai monis-e-jāñ 'sāz' koī

    dikhāve faqat dil-dāriyāñ haiñ

    koi taqrib ho lachaariyan hain

    baDe logon se rishte-dariyan hain

    hamari kaj-kulahi par na jao

    abhi hum mein wahi KHuddariyan hain

    murawwat aao-bhagTi waz'-dari

    ye pichhle 'ahd ki bimariyan hain

    KHusha jin ko mayassar aaen ninden

    yahan to 'umr bhar bedariyan hain

    nahin hai aadmi ke bas mein kuchh bhi

    to phir kahe ki KHud-muKHtariyan hain

    wazir-o-mir hon ya shaiKH-o-waiz

    sabhi logon mein zahir-dariyan hain

    nahin hai monis-e-jaan 'saz' koi

    dikhawe ki faqat dil-dariyan hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now