koi taswir yahan aaina-KHanon mein nahin
koī tasvīr yahāñ ā.ina-ḳhānoñ meñ nahīñ
ab hadaf kaun ho jab tiir kamānoñ meñ nahīñ
be-hisī jabr-e-musalsal kā natīja Thahrī
harf maslūb hue nutq zabānoñ meñ nahīñ
log kuchh itne haqīqat ke parastār hue
ya.anī vo shaḳhs nayā hai jo purānoñ meñ nahīñ
ham ki maazī bhī haiñ imroz bhī haiñ fardā bhī
ham sabhī kuchh haiñ magar qaid zamānoñ meñ nahīñ
shāḳh-dar-shāḳh tarāshī ga.iiñ rāheñ kitnī
par kushāda to hue rabt uḌānoñ meñ nahīñ
aisā āshob to pahle kabhī dekhā na sunā
bhiiḌ galiyoñ meñ hai log apne makānoñ meñ nahīñ
vo mohabbat hī mohabbat hai ye irfāñ bhī huā
us kā maskan to diloñ meñ hai chaTānoñ meñ nahīñ
koi taswir yahan aaina-KHanon mein nahin
ab hadaf kaun ho jab tir kamanon mein nahin
be-hisi jabr-e-musalsal ka natija Thahri
harf maslub hue nutq zabanon mein nahin
log kuchh itne haqiqat ke parastar hue
yani wo shaKHs naya hai jo puranon mein nahin
hum ki mazi bhi hain imroz bhi hain farda bhi
hum sabhi kuchh hain magar qaid zamanon mein nahin
shaKH-dar-shaKH tarashi gain rahen kitni
par kushada to hue rabt uDanon mein nahin
aisa aashob to pahle kabhi dekha na suna
bhiD galiyon mein hai log apne makanon mein nahin
wo mohabbat hi mohabbat hai ye irfan bhi hua
us ka maskan to dilon mein hai chaTanon mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.