koi to aa ke mere dar ko khaTkhaTae bhi
koī to aa ke mire dar ko khaTkhaTā.e bhī
añdherī raat meñ jugnū sā jagmagā.e bhī
gumāñ ke pinjre meñ kab se koī parinda hai
kabhī to khole paroñ ko ki phaḌphaḌā.e bhī
anā kī dhuup meñ gum-sum khaḌā hai kaun yahāñ
maiñ chhāñv huuñ mujhe dekhe vo muskurā.e bhī
vo merī saañs kā jaise aTuuT hissa hai
agar hai us ko bhī ehsās to jatā.e bhī
dhuāñ dhuāñ sā jo manzar dikhā.ī detā hai
kabhī to dil meñ vo chehra sā jhilmilā.e bhī
maiñ aa.ina to nahīñ huuñ qubūl hai lekin
kamī hai kyā mire andar koī batā.e bhī
tamām umr hī hañstā rahā huuñ maiñ 'ādil'
kabhī to nam hoñ ye āñkheñ koī rulā.e bhī
koi to aa ke mere dar ko khaTkhaTae bhi
andheri raat mein jugnu sa jagmagae bhi
guman ke pinjre mein kab se koi parinda hai
kabhi to khole paron ko ki phaDphaDae bhi
ana ki dhup mein gum-sum khaDa hai kaun yahan
main chhanw hun mujhe dekhe wo muskurae bhi
wo meri sans ka jaise aTuT hissa hai
agar hai us ko bhi ehsas to jatae bhi
dhuan dhuan sa jo manzar dikhai deta hai
kabhi to dil mein wo chehra sa jhilmilae bhi
main aaina to nahin hun qubul hai lekin
kami hai kya mere andar koi batae bhi
tamam umr hi hansta raha hun main 'adil'
kabhi to nam hon ye aankhen koi rulae bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.