koi to rah sujha dur tak andhera hai
koī to raah sujhā duur tak añdherā hai
kahāñ hai mere ḳhudā duur tak añdherā hai
mirā ḳhayāl thā kuchh aage raushnī ho gī
maiñ jāntā nahīñ thā duur tak añdherā hai
kisī kī khoj meñ niklā huuñ mehr-o-māh liye
hai iltimās-e-duā duur tak añdherā hai
na hogā tai ye safar sirf raushan āñkhoñ se
charāġh-e-dil bhī jalā duur tak añdherā hai
nazar ke sāmne the an-ginat sitāre magar
faqīr kahtā rahā duur tak añdherā hai
hamāre haath kī rekhā.eñ kyā batātī haiñ
hameñ batā.iye kyā duur tak añdherā hai
'aqīl' pahle to bīnā.ī kī bashārat dī
phir us ne mujh se kahā duur tak añdherā hai
koi to rah sujha dur tak andhera hai
kahan hai mere KHuda dur tak andhera hai
mera KHayal tha kuchh aage raushni ho gi
main jaanta nahin tha dur tak andhera hai
kisi ki khoj mein nikla hun mehr-o-mah liye
hai iltimas-e-dua dur tak andhera hai
na hoga tai ye safar sirf raushan aankhon se
charagh-e-dil bhi jala dur tak andhera hai
nazar ke samne the an-ginat sitare magar
faqir kahta raha dur tak andhera hai
hamare hath ki rekhaen kya batati hain
hamein bataiye kya dur tak andhera hai
'aqil' pahle to binai ki bashaarat di
phir us ne mujh se kaha dur tak andhera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.