koi tum jaisa tha aisa hi koi chehra tha
koī tum jaisā thā aisā hī koī chehrā thā
yaad aatā hai ki ik ḳhvāb kabhī dekhā thā
raat jab der talak chāñd nahīñ niklā thā
merī hī tarah se saaya bhī mirā tanhā thā
jaane kyā soch ke tum ne mirā dil pher diyā
mere pyāre isī miTTī meñ mirā sonā thā
vo bhī kam-baḳht zamāne kī havā le ke ga.ī
merī āñkhoñ meñ mirī mai kā jo ik qatra thā
tū na jaagā magar ai dil tire darvāze par
aisā lagtā hai koī pichhle pahar aayā thā
terī dīvār kā saaya na ḳhafā ho mujh se
raah chalte yūñhī kuchh der ko aa baiThā thā
ai shab-e-ġham mujhe ḳhvāboñ meñ sahī dikhlā de
merā sūraj tirī vaadī meñ kahīñ Duubā thā
ik mirī aañkh hī shabnam se sharābor rahī
sub.h ko varna har ik phuul kā muñh sūkhā thā
tum zarā thaam lo aa kar kabhī paimāna-e-jāñ
dekho dekho mire hāthoñ se abhī chhūTā thā
koi tum jaisa tha aisa hi koi chehra tha
yaad aata hai ki ek KHwab kabhi dekha tha
raat jab der talak chand nahin nikla tha
meri hi tarah se saya bhi mera tanha tha
jaane kya soch ke tum ne mera dil pher diya
mere pyare isi miTTi mein mera sona tha
wo bhi kam-baKHt zamane ki hawa le ke gai
meri aankhon mein meri mai ka jo ek qatra tha
tu na jaga magar ai dil tere darwaze par
aisa lagta hai koi pichhle pahar aaya tha
teri diwar ka saya na KHafa ho mujh se
rah chalte yunhi kuchh der ko aa baiTha tha
ai shab-e-gham mujhe KHwabon mein sahi dikhla de
mera suraj teri wadi mein kahin Duba tha
ek meri aankh hi shabnam se sharabor rahi
subh ko warna har ek phul ka munh sukha tha
tum zara tham lo aa kar kabhi paimana-e-jaan
dekho dekho mere hathon se abhi chhuTa tha
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 64)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.