koi umid ka tara kahan se milta hai
koī umiid kā taarā kahāñ se miltā hai
ye muflisī ko sahārā kahāñ se miltā hai
savāl ye nahīñ ḳhanjar hai kin ke hāthoñ meñ
savāl hai ki ishāra kahāñ se miltā hai
koī jo Duub ke dekhe to jaan pā.egā
hameñ pata hai kināra kahāñ se miltā hai
batā ai zindagī har-dam tujhe mirī ḳhātir
faqat ġhamoñ kā piTārā kahāñ se miltā hai
savāl ham se karo tum tabhī to jānoge
javāb koī karārā kahāñ se miltā hai
koi umid ka tara kahan se milta hai
ye muflisi ko sahaara kahan se milta hai
sawal ye nahin KHanjar hai kin ke hathon mein
sawal hai ki ishaara kahan se milta hai
koi jo Dub ke dekhe to jaan paega
hamein pata hai kinara kahan se milta hai
bata ai zindagi har-dam tujhe meri KHatir
faqat ghamon ka piTara kahan se milta hai
sawal hum se karo tum tabhi to jaanoge
jawab koi karara kahan se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.