koi us sitamgar ko aagah kar de ki baz aae aazar dene se jhaT-paT
koi us sitamgar ko aagah kar de ki baz aae aazar dene se jhaT-paT
Nooh Narvi
MORE BYNooh Narvi
koī us sitamgar ko āgāh kar de ki baaz aa.e āzār dene se jhaT-paT
udhar kī idhar aaj hotī hai duniyā marīz-e-mohabbat badaltā hai karvaT
kabhī parda-dārī kabhī ḳhud-numā.ī kabhī kuchh rukāvaT kabhī kuchh lagāvaT
tumhārī ye chāroñ adā.eñ ġhazab haiñ ye chāroñ kareñgī hazāroñ ko chaupaT
qayāmat na uTThe ki uTThe jahāñ meñ magar bil-yaqīñ maiñ to uTThūñgā jhaT-paT
tah-e-qabr jis vaqt mujh ko milegī sar-e-qabr kuchh un ke qadmoñ kī aahaT
koī kis tarah is ko taslīm kar le ki donoñ akele basar kar rahe haiñ
tire gird terī adāoñ kā majma' mirī hasratoñ kā mire paas jamghaT
ḳhudā jaane aapas meñ kyā pesh aa.e ye tāḳhīr-o-tājīl kyā rang laa.e
hamārā irāda ki fauran na deñ dil tumhārī tamannā ki mil jaa.e jhaT-paT
kahāñ lutf-e-bazm-e-masarrat uThāyā kahāñ daur-e-pur-kaif guzre nazar se
mai-e-nāb auroñ ke hisse meñ aa.ī hamāre muqaddar meñ thī sirf talchhaT
udhar vo bhī sargarm-e-zulm-o-jafā hai idhar ham bhī masrūf-e-āh-o-bukā haiñ
kahīñ baḌhte baḌhte na baḌh jaa.e jhagḌā kahīñ hote hote na ho jaa.e khaTpaT
ye kyuuñ hai ta.ammul ye kyuuñ hai tavaqquf ye inkār kyā hai ye aġhmāz kyā hai
laḌāo bhī āñkheñ milāo bhī nazreñ dikhāo bhī mukhḌā uThāo bhī ghūñghaT
bahut kuchh chhupāyā bahut kuchh bachāyā magar pesh-bandī na kuchh kaam aa.ī
kiye ḳhanjar-e-nāz ne chaar TukḌe bil-āḳhir huā dil mohabbat meñ chaupaT
mohabbat meñ ye jhiḌkiyāñ bhī 'abas haiñ ye har vaqt kī dhamkiyāñ bhī 'abas haiñ
karam ho ki mujh par sitam ho tumhārā na uTThūñgā dar se na chhoḌūñgā chaukhaT
bayān-e-tamannā sunā aur sun kar baḌī der se ġhaur farmā rahe haiñ
na ā.eñge yā mere ghar aa ga.e vo jo honā ho irshād ho jaa.e jhaT-paT
sitam bhī uThā.e hazāroñ tarah ke balā.eñ bhī jhelīñ hazāroñ tarah kī
huā tajraba ham ko ye dil lagā kar hasīnoñ se dil kā lagānā hai jhanjhaT
tire 'ishq meñ kyuuñ na maiñ dil ko ro.uuñ jigar ke liye kyuuñ na maiñ aah khīñchūñ
shab-o-roz kī muḳhtalif āfatoñ ne ise kar diyā chit use kar diyā paT
banā ġhairat-e-ā.īna dil hamārā ġhubār aa.e kyuuñ kar kudūrat rahe kyā
masal hai vo ḳhas-kam jahāñ paak vaalī na is ghar meñ kuuḌā na us ghar meñ karkaT
mohabbat ke raste meñ ai shauq-e-manzil milegā 'ajab lutf pā-e-talab ko
udhar ḳhaar haiñ aur idhar aable haiñ agar nazr haañ vo haiñ to ye haiñ muñh-phaT
tire 'ishq meñ chain se kyā rahūñ maiñ tire 'ishq meñ jab na de chain mujh ko
nazar kā palaTnā zabāñ kā badalnā muqaddar kī gardish zamāne kī karvaT
ye ai 'nūh' kis ne tumheñ raa.e dī thī ki tūfāñ uThāo zamīñ-dār ho kar
ab achchhā tamāshā nazar aa rahā hai tah-e-āb khātā sar-e-āb khevaT
koi us sitamgar ko aagah kar de ki baz aae aazar dene se jhaT-paT
udhar ki idhar aaj hoti hai duniya mariz-e-mohabbat badalta hai karwaT
kabhi parda-dari kabhi KHud-numai kabhi kuchh rukawaT kabhi kuchh lagawaT
tumhaari ye chaaron adaen ghazab hain ye chaaron karengi hazaron ko chaupaT
qayamat na uTThe ki uTThe jahan mein magar bil-yaqin main to uTThunga jhaT-paT
tah-e-qabr jis waqt mujh ko milegi sar-e-qabr kuchh un ke qadmon ki aahaT
koi kis tarah is ko taslim kar le ki donon akele basar kar rahe hain
tere gird teri adaon ka majma' meri hasraton ka mere pas jamghaT
KHuda jaane aapas mein kya pesh aae ye taKHir-o-tajil kya rang lae
hamara irada ki fauran na den dil tumhaari tamanna ki mil jae jhaT-paT
kahan lutf-e-bazm-e-masarrat uThaya kahan daur-e-pur-kaif guzre nazar se
mai-e-nab auron ke hisse mein aai hamare muqaddar mein thi sirf talchhaT
udhar wo bhi sargarm-e-zulm-o-jafa hai idhar hum bhi masruf-e-ah-o-buka hain
kahin baDhte baDhte na baDh jae jhagDa kahin hote hote na ho jae khaTpaT
ye kyun hai tammul ye kyun hai tawaqquf ye inkar kya hai ye aghmaz kya hai
laDao bhi aankhen milao bhi nazren dikhao bhi mukhDa uThao bhi ghunghaT
bahut kuchh chhupaya bahut kuchh bachaya magar pesh-bandi na kuchh kaam aai
kiye KHanjar-e-naz ne chaar TukDe bil-aKHir hua dil mohabbat mein chaupaT
mohabbat mein ye jhiDkiyan bhi 'abas hain ye har waqt ki dhamkiyan bhi 'abas hain
karam ho ki mujh par sitam ho tumhaara na uTThunga dar se na chhoDunga chaukhaT
bayan-e-tamanna suna aur sun kar baDi der se ghaur farma rahe hain
na aaenge ya mere ghar aa gae wo jo hona ho irshad ho jae jhaT-paT
sitam bhi uThae hazaron tarah ke balaen bhi jhelin hazaron tarah ki
hua tajraba hum ko ye dil laga kar hasinon se dil ka lagana hai jhanjhaT
tere 'ishq mein kyun na main dil ko roun jigar ke liye kyun na main aah khinchun
shab-o-roz ki muKHtalif aafaton ne ise kar diya chit use kar diya paT
bana ghairat-e-aina dil hamara ghubar aae kyun kar kudurat rahe kya
masal hai wo KHas-kam jahan pak wali na is ghar mein kuDa na us ghar mein karkaT
mohabbat ke raste mein ai shauq-e-manzil milega 'ajab lutf pa-e-talab ko
udhar KHar hain aur idhar aable hain agar nazr han wo hain to ye hain munh-phaT
tere 'ishq mein chain se kya rahun main tere 'ishq mein jab na de chain mujh ko
nazar ka palaTna zaban ka badalna muqaddar ki gardish zamane ki karwaT
ye ai 'nuh' kis ne tumhein rae di thi ki tufan uThao zamin-dar ho kar
ab achchha tamasha nazar aa raha hai tah-e-ab khata sar-e-ab khewaT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.