Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi yaqin kare kyon kisi gawahi pe

Navin Joshi

koi yaqin kare kyon kisi gawahi pe

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    koī yaqīn kare kyoñ kisī gavāhī pe

    mujhe yaqīñ nahīñ jab apnī be-gunāhī pe

    uThe na zill-e-ilāhī pe uñglī ab koī

    ye harf haar aa.e kisī sipāhī pe

    nishān raahī ke rāhoñ pe ho na ho lekin

    nishān rāhoñ ke aksar mileñge raahī pe

    adā ye siikh letā agar pata hotā

    saroñ ke daam to lagne haiñ kaj-kulāhī pe

    rahūñgā jashn-zada maiñ bahāne kyā kam haiñ

    raqs dekhnā merā mirī tabāhī pe

    ye zaḳhm riste haiñ mere qalam zarīya hai

    gumān ḳhuun honā hai siyāhī pe

    koi yaqin kare kyon kisi gawahi pe

    mujhe yaqin nahin jab apni be-gunahi pe

    uThe na zill-e-ilahi pe ungli ab koi

    ye harf haar ka aae kisi sipahi pe

    nishan rahi ke rahon pe ho na ho lekin

    nishan rahon ke aksar milenge rahi pe

    ada ye sikh hi leta agar pata hota

    saron ke dam to lagne hain kaj-kulahi pe

    rahunga jashn-zada main bahane kya kam hain

    tu raqs dekhna mera meri tabahi pe

    ye zaKHm riste hain mere qalam zariya hai

    guman KHun ka hona hi hai siyahi pe

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now