kore kaghaz pe kai naqsh banae maine
kore kāġhaz pe ka.ī naqsh banā.e maiñ ne
aur phir ik ke sivā saare miTā.e maiñ ne
gul-e-ḳhud-rau kī mahak jaise kisī jangal meñ
haa.e vo giit jo tanhā.ī meñ gaa.e maiñ ne
chaman-e-fan meñ raheñge jo hamesha shādāb
aise gul-būTe bhī chand ek ugaa.e maiñ ne
ḳhuun insān kā paanī kī tarah bah niklā
uf ta.assub ke vo hangāme uThā.e maiñ ne
apnoñ se baḌh ke madad-gār-o-muāvin jo the
dahr meñ aise bhī dekhe haiñ parā.e maiñ ne
haa.e kyā chiiz thī ai rāh-e-mohabbat tū bhī
kāñTe jitne the vo palkoñ se uThā.e maiñ ne
husn ke saiñkaḌoñ ruḳh tum se abhī maḳhfī haiñ
husn ke ruup hazāroñ hī dikhā.e maiñ ne
ek bhī terī nazar se nahīñ guzrā ai dost
kitne aivān taḳhayyul ke sajā.e maiñ ne
shā.erī bas meñ mire aa.e to jānūñ 'maġhmūm
umr-bhar is ke bahut naaz uThā.e maiñ ne
kore kaghaz pe kai naqsh banae main ne
aur phir ek ke siwa sare miTae main ne
gul-e-KHud-rau ki mahak jaise kisi jangal mein
hae wo git jo tanhai mein gae main ne
chaman-e-fan mein rahenge jo hamesha shadab
aise gul-buTe bhi chand ek ugae main ne
KHun insan ka pani ki tarah bah nikla
uf tassub ke wo hangame uThae main ne
apnon se baDh ke madad-gar-o-muawin jo the
dahr mein aise bhi dekhe hain parae main ne
hae kya chiz thi ai rah-e-mohabbat tu bhi
kanTe jitne the wo palkon se uThae main ne
husn ke sainkaDon ruKH tum se abhi maKHfi hain
husn ke rup hazaron hi dikhae main ne
ek bhi teri nazar se nahin guzra ai dost
kitne aiwan taKHayyul ke sajae main ne
shaeri bas mein mere aae to jaanun 'maghmum
umr-bhar is ke bahut naz uThae main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.