koshish bhi ki to dil se na usko bhala sake
koshish bhī kī to dil se na us ko bhalā sake
aur is meñ raaz kyā hai abhī tak na pā sake
merī suno ki chaah nahīñ be-diloñ kā kaam
vo jaa.e us galī meñ jo ḳhuuñ meñ nahā sake
qaid-e-qafas meñ tāqat-e-parvāz miT ga.ī
chhuT to ga.e pe sū-e-nasheman na jā sake
aahoñ se kuchh huā na taḌapne se kuchh banā
aañsū bhī dil kī aag na ab tak bujhā sake
guzre bhī paas se to hayā se simaT ga.e
sarkā sake naqāb na āñchal haTā sake
ḳhud ibtidā-e-ishq bhī kī bhuul bhī ga.e
ham bhuul kar bhī un ko na dil se bhulā sake
kyā aap se kaheñ dil-e-muztar kā apne haal
us kī to chārāgar na kabhī taab lā sake
ḳhuddāriyāñ bhī ishq meñ zanjīr-e-pā thiiñ 'soz'
us āstāñ pe ham na jabīñ ko jhukā sake
koshish bhi ki to dil se na us ko bhala sake
aur is mein raaz kya hai abhi tak na pa sake
meri suno ki chah nahin be-dilon ka kaam
wo jae us gali mein jo KHun mein naha sake
qaid-e-qafas mein taqat-e-parwaz miT gai
chhuT to gae pe su-e-nasheman na ja sake
aahon se kuchh hua na taDapne se kuchh bana
aansu bhi dil ki aag na ab tak bujha sake
guzre bhi pas se to haya se simaT gae
sarka sake naqab na aanchal haTa sake
KHud ibtida-e-ishq bhi ki bhul bhi gae
hum bhul kar bhi un ko na dil se bhula sake
kya aap se kahen dil-e-muztar ka apne haal
us ki to chaaragar na kabhi tab la sake
KHuddariyan bhi ishq mein zanjir-e-pa thin 'soz'
us aastan pe hum na jabin ko jhuka sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.