koshish karti rahti hai samjhati hai
koshish kartī rahtī hai samjhātī hai
ḳhushbū kī bhāshā ham ko kab aatī hai
ghol ke sāñsoñ meñ mad.hoshī kī haala
dhīre se dil par dastak de jaatī hai
us aurat kī ḳhuddārī bhī dekheñ to
apnā haq bhī māñgne meñ sharmātī hai
duniyā se jab aage chalnā siikh liyā
duniyā mere pīchhe pīchhe aatī hai
pitā to keval ādeshoñ meñ jiitā hai
lekin maañ sab kuchh karke dikhlātī hai
ḳhushiyoñ se to pichhle dinoñ se naatā hai
māyūsī merī janmoñ kī sāthī hai
mummy dhyān se bāhar aayā jaayā karo
merī beTī ye mujh ko samjhātī hai
belā champā juuhī aur chamelī sī
beTī ḳhushbū se ghar ko mahkātī hai
jis ke ghar meñ ḳhushiyoñ kī jhankāreñ ho
'anjanā' us ko niiñd kahāñ phir aatī hai
koshish karti rahti hai samjhati hai
KHushbu ki bhasha hum ko kab aati hai
ghol ke sanson mein madhoshi ki haala
dhire se dil par dastak de jati hai
us aurat ki KHuddari bhi dekhen to
apna haq bhi mangne mein sharmati hai
duniya se jab aage chalna sikh liya
duniya mere pichhe pichhe aati hai
pita to kewal aadeshon mein jita hai
lekin man sab kuchh karke dikhlati hai
KHushiyon se to pichhle dinon se nata hai
mayusi meri janmon ki sathi hai
mummy dhyan se bahar aaya jaya karo
meri beTi ye mujh ko samjhati hai
bela champa juhi aur chameli si
beTi KHushbu se ghar ko mahkati hai
jis ke ghar mein KHushiyon ki jhankaren ho
'anjana' us ko nind kahan phir aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.