koshish ke bawajud ye ilzam rah gaya
koshish ke bāvajūd ye ilzām rah gayā
har kaam meñ hamesha koī kaam rah gayā
chhoTī thī umr aur fasāna tavīl thā
āġhāz hī likhā gayā anjām rah gayā
uTh uTh ke masjidoñ se namāzī chale ga.e
dahshat-garoñ ke haath meñ islām rah gayā
us kā qusūr ye thā bahut sochtā thā vo
vo kāmyāb ho ke bhī nākām rah gayā
ab kyā batā.eñ kaun thā kyā thā vo ek shaḳhs
gintī ke chaar harfoñ kā jo naam rah gayā
koshish ke bawajud ye ilzam rah gaya
har kaam mein hamesha koi kaam rah gaya
chhoTi thi umr aur fasana tawil tha
aaghaz hi likha gaya anjam rah gaya
uTh uTh ke masjidon se namazi chale gae
dahshat-garon ke hath mein islam rah gaya
us ka qusur ye tha bahut sochta tha wo
wo kaamyab ho ke bhi nakaam rah gaya
ab kya bataen kaun tha kya tha wo ek shaKHs
ginti ke chaar harfon ka jo nam rah gaya
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 609)
- Author : Nida Fazli
- Publication : Miar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.