koshish musalahat ki to lail-o-nahaar ki
koshish musālahat kī to lail-o-nahār kī
har lamha kaifiyat hai magar intishār kī
gujrāt dil hai gar mirā kashmīr hai qalam
likhtā huuñ dāstān badan ke chinār kī
aql-o-ḳhirad hamāre na kuchh kaam aa sake
josh-e-junūñ ne aabrū rakh lī hai daar kī
sab marhale tamām hue jiit ke magar
be-mehrī-e-rafīq huī vajah haar kī
sāñsoñ pe iḳhtiyār na duniyā kā e.atibār
fitrat yahī hai ālam-e-nā-pā.edār kī
palkeñ bichhā.ūñ rāhoñ meñ ye ājizī nahīñ
mīzān ye nahīñ hai 'qalaq' inkisār kī
koshish musalahat ki to lail-o-nahaar ki
har lamha kaifiyat hai magar intishaar ki
gujraat dil hai gar mera kashmir hai qalam
likhta hun dastan badan ke chinar ki
aql-o-KHirad hamare na kuchh kaam aa sake
josh-e-junun ne aabru rakh li hai dar ki
sab marhale tamam hue jit ke magar
be-mehri-e-rafiq hui wajah haar ki
sanson pe iKHtiyar na duniya ka eatibar
fitrat yahi hai aalam-e-na-paedar ki
palken bichhaun rahon mein ye aajizi nahin
mizan ye nahin hai 'qalaq' inkisar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.