koThe ujaD khiDkiyan chup raste udas
koThe ujaaḌ khiḌkiyāñ chup rāste udaas
jaate hī un ke kuchh na rahā zindagī ke paas
do pal baras ke abr ne dariyā kā ruḳh kiyā
taptī zamīñ se pahroñ nikaltī rahī bhaḌās
miTTī kī sauñdh jaate hue saath le uḌī
Daalī kā loch paat kī sabzī kalī kī baas
ashkoñ se kis ko pyaar hai aahoñ se kis ko uns
lekin ye dil ki jis ko ḳhushī aa sakī na raas
hoshyār ai naved-e-ajal luT na jā.iyo
phirtā hai koī āTh-pahr dil ke aas paas
aañsū ho mai ho zahr ho āb-e-hayāt ho
juz ḳhūn-e-ārzū na mujhe zindagī kī pyaas
jaise kabhī ta.alluq-e-ḳhātir na rahā
yuuñ ruuTh kar chalī ga.ī 'shohrat' har ek aas
koThe ujaD khiDkiyan chup raste udas
jate hi un ke kuchh na raha zindagi ke pas
do pal baras ke abr ne dariya ka ruKH kiya
tapti zamin se pahron nikalti rahi bhaDas
miTTi ki saundh jate hue sath le uDi
Dali ka loch pat ki sabzi kali ki bas
ashkon se kis ko pyar hai aahon se kis ko uns
lekin ye dil ki jis ko KHushi aa saki na ras
hoshyar ai nawed-e-ajal luT na jaiyo
phirta hai koi aaTh-pahr dil ke aas pas
aansu ho mai ho zahr ho aab-e-hayat ho
juz KHun-e-arzu na mujhe zindagi ki pyas
jaise kabhi talluq-e-KHatir na raha
yun ruTh kar chali gai 'shohrat' har ek aas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.