kuchh aaj ilaj-e-dil-e-bimar to kar len
kuchh aaj ilāj-e-dil-e-bīmār to kar leñ
ai jān-e-jahāñ aao zarā pyaar to kar leñ
muñh ham ko lagātā hī nahīñ vo but-e-kāfir
kahtā hai ye allāh se inkār to kar leñ
samjhe hue haiñ kaam nikaltā hai junūñ se
kuchh tajraba-e-sub.ha-o-zunnār to kar leñ
sau jaan se ho jā.ūñgā raazī maiñ sazā par
pahle vo mujhe apnā gunahgār to kar leñ
haj se hameñ inkār nahīñ hazrat-e-vā.iz
tauf-e-haram-e-kūcha-e-dildār to kar leñ
manzūr vo kyoñ karne lage dāvat-e-'akbar'
ḳhair is se hai kyā bahas ham isrār to kar leñ
kuchh aaj ilaj-e-dil-e-bimar to kar len
ai jaan-e-jahan aao zara pyar to kar len
munh hum ko lagata hi nahin wo but-e-kafir
kahta hai ye allah se inkar to kar len
samjhe hue hain kaam nikalta hai junun se
kuchh tajraba-e-subha-o-zunnar to kar len
sau jaan se ho jaunga raazi main saza par
pahle wo mujhe apna gunahgar to kar len
haj se hamein inkar nahin hazrat-e-waiz
tauf-e-haram-e-kucha-e-dildar to kar len
manzur wo kyon karne lage dawat-e-'akbar'
KHair is se hai kya bahas hum israr to kar len
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 115)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.