kuchh aisa bhi nahin mera akele dil nahin lagta
kuchh aisā bhī nahīñ merā akele dil nahīñ lagtā
koī jab saath hotā hai safar mushkil nahīñ lagtā
tumhāre saath hone kā milā ye fā.eda mujh ko
tumhāre saath hotā huuñ to maiñ jāhil nahīñ lagtā
ḳhudā kī baat kartā hai binā zikr-e-mohabbat ke
tū vaa.iz ho gayā hai par abhī fāzil nahīñ lagtā
tumhārī muskurāhaT ke liye jiinā zarūrī hai
vagarna ye jahāñ to jiine ke qābil nahīñ lagtā
nadī ke do kināroñ kī tarah ham saath to haiñ par
kabhī sāhil ke siina se ajī sāhil nahīñ lagtā
kuchh aisa bhi nahin mera akele dil nahin lagta
koi jab sath hota hai safar mushkil nahin lagta
tumhaare sath hone ka mila ye faeda mujh ko
tumhaare sath hota hun to main jahil nahin lagta
KHuda ki baat karta hai bina zikr-e-mohabbat ke
tu waiz ho gaya hai par abhi fazil nahin lagta
tumhaari muskurahaT ke liye jina zaruri hai
wagarna ye jahan to jine ke qabil nahin lagta
nadi ke do kinaron ki tarah hum sath to hain par
kabhi sahil ke sina se aji sahil nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.