kuchh aisa to abhi socha nahin hai
kuchh aisā to abhī sochā nahīñ hai
ki jo merā hai vo us kā nahīñ hai
muravvat se zarā dhundlī haiñ āñkheñ
ye mat samjho nazar aatā nahīñ hai
abhī kal hī to kuchh va.ade kiye the
tumhārā hāfiza achchhā nahīñ hai
yahī to jaḌ hai saarī nafratoñ kī
mohabbat ko koī samjhā nahīñ hai
tum aurat ho zarā mohtāt rahnā
zamāna is qadar badlā nahīñ hai
chalo shīshe ko to nāzuk bhī kah deñ
koī patthar hai jo TuuTā nahīñ hai
hamāre muñh pe ham se jhuuT bole
hamārā aa.ina aisā nahīñ hai
kuchh aisa to abhi socha nahin hai
ki jo mera hai wo us ka nahin hai
murawwat se zara dhundli hain aankhen
ye mat samjho nazar aata nahin hai
abhi kal hi to kuchh wade kiye the
tumhaara hafiza achchha nahin hai
yahi to jaD hai sari nafraton ki
mohabbat ko koi samjha nahin hai
tum aurat ho zara mohtat rahna
zamana is qadar badla nahin hai
chalo shishe ko to nazuk bhi kah den
koi patthar hai jo TuTa nahin hai
hamare munh pe hum se jhuT bole
hamara aaina aisa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.